Almost all solved MCQs for you..

Important Urdu Notes.

  1. Thandi aag by Intizar hussain
  2. Rustam o sohrab Agha hasher kashmiri ka drama tha
  3. Agha Ashar kashmiri ko urdu ka Shakespeare kaha jata hay
  4. Drama Anar kali by Imtiaz ali taaj jo k tragedy hay
  5. Chacha chakan imtiaz ali taj ka aik kirdar hay
  6. Drama taleem balghan khawaja moen ud din nay likha tha jo k 1954 main likha gia
  7. Sab rus Mulla Wajhi nay likha tha
  8. Sab rus aik tamseeli qissa tha ki zuban Deccani kahi jati hay
  9. Mazameen farhat Farhat ullah baig nay likhi thi
  10. Molvi nazeer ahmed ki kahani farhat ullah baig ka likha howa khaka tha
  11. Ye khakh unho nay 1928 main likha tha
  12. Movli nazeer ahmed farhat ullah baig k ustad thay
  13. Pitras bukhari ka asal name ahmed shah bukhari tha
  14. Urdu ki akhiri kitab by Pitras bukhari
    Maan ki museebat
    khana khud pak raha hay
    dhobi aj kapry dho raha hay
    main aik miyan hon
  15. Mazameen e rasheed Raheed ahmed Sadique ka pahla nasri majmua hay jo 20 mazameen pay mushtamil hay
  16. Aab e gum mushtaq ahmed yousfi k mazameen ka majmua hay jo 1989 main shaya howa aor ic main 6 unwan k mazmoon hain
  17. Aab e gum k markazi kirdar mirza abdul wadood baig ko mushtaq ahmed yousfi nay apna humzad kaha tha
  18. Sir sayyad ahmed khan jaded urdu nasar k pani han
  19. Narang e khayal Mohammad hussain azad nay likha jis main 14 mazameen shamil hain
  20. Hayat e jawaid altaf hussain hali nay likhi thi jo 2 hisso pay mushtamil hay
  21. Meer o Soda ka doar 1706 say 1810 tak phela howa hay
  22. Meer o Soda k doar main urdu pay farsi ghalib rahi
  23. Meer Taqi meer apny zamany ka sab say barha ghazal go shahir tha
  24. Momin o Gahalib k doar main ghazal nay boht arooj hasil kia
  25. Abraham Zoq (died 1854) bahadur shah zaffar ka ustad tha.
  26. Mirza ghalib died in 1869
  27. Fort William college was found in 1800
  28. Sir sayyad nay Tehzeeb ul akhlaq 1870 main nikala tha
  29. Anjaman e Punjab 21 jan 1865 ko banai gai
  30. Dr Lightener pehla sadar tha aor molana Muhammad hussain azad secretary
  31. Sajjad zaheer aor malik raj aanind nay 1935 main taraqi pasand tehrik ki buniyad rakhi
  32. Anjaman ki pahli conference 15 april 1936 ko munshi paraim chand ki sdarat main Lakhnao main hoi
  33. Faiz ahmed faiz, N.m Rashid and majeed amjad ka taluq taraqi pasand tehrik say hay
  34. Faiz ahmed faiz nay ye nazmain likhi hain
    sham e tanhai
    subha e azadi
    chand roz aor meri jan
    heart attack
  35. Taraqi pasand afsano ka pahla majmua Angary hay jo tehrik k aghaz say pahely December 1932 main shaya howa,
  36. Angary 1933 mai zabt ho gai thi
  37. Angary mai 9 afsany aor 1 drama tha
Angary (aik jaiza)
sajjad zaheer nay 5 afsany likhy thy. “neend nahi ati. Jannat ki basharat. Garmiyu ki aik rat. Dulari. Pher ye hangama.
Rasheed jahan ka 1 afsana Dilli ki sair aor drama Pardy k peachy
Ali Ahmed 2 afsany Badal nahi aty and Mahawatto ki aik rat
aor mehmood zafar ka Jawan-mardi
  1. Taraqi pasnd afsana nigaro main paraim chand ka name numayan hay
  2. Paraim chand nay afsana Kaffan likha
  3. Kirishan chandar k ye afsany boht maqbool hoey
I.        An data
II.        Kalu bhangi
III.        Balcony
IV.        Barham puttar
V.        Piyasa
VI.        Teen ghunday
VII.        Pishawar express
VIII.        Cherry k phool
  1. Ahmed nadeem qasmi wrote Chopal and Bagoly.
  2. Kishwar naheed ko urdu zuban ki pehli baghi shaira kehty hain
  3. Majeed amjad nay namaz nigari main name peda kia
  4. Muneer niazi nay apni Alaamat hindi zuban say aghaz ki hain
  5. Faiz ahmed faiz ko Lenin Peace prize 1962 mila tha
10:57 AM
Tags

Post a Comment

[facebook]

MKRdezign

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.
Javascript DisablePlease Enable Javascript To See All Widget